Wednesday, July 7, 2010

In ansuon me nahi kashish, har sitam dha kar dekhte hain shakl


In ansuon me nahi kashish, har sitam dha kar dekhte hain shakl,
Ae saze dil, kuchh aise machal, har aah bhi ban jaye ghazal.

Hote rahe hum ruswa, har mod par hai charcha mera,
Hum vafa kar ke bhi badnaam, unke sir zafa ka sehra,
Hain aaj zakhmi, dil pashemaa.n, ye waqt kabhi to jaye badal,
Ae saze dil, kuchh aise machal, har aah bhi ban jaye ghazal.

Tamanna hai teri, sitam dhao ya fer lo nazren humse,
Roshan hai teri mehfil, aaj bhi mere hi dum se,
Har shaakh pe hai baitha qaatil, armanon ka na ho jaye qatal,
Ae saze dil, kuchh aise machal, har aah bhi ban jaye ghazal.

Teri bewafaii ka daag, ab na uthaya jaye hai mujhse,
Na marna hi munasib, na aur jeeya jaye hai mujhse,
Ab chahe tadpao hume, tarsao hume, ya kar do hume qatal,
Jab tootega dil kisi ka, sunai degi har aah me meri hi ghazal.

Ae saze dil, kuchh aise machal, har aah bhi ban jaye ghazal
Ae saze dil, kuchh aise machal, har aah bhi ban jaye ghazal...

No comments:

Popular Posts