Monday, July 19, 2010

Guzarte Lamhon Mein Aur Is Tez Raftaar Zindagi Mein


Guzarte Lamhon Mein,
Aur Is Tez Raftaar Zindagi Mein,
Jahan Mere Paas Apne Liye Waqt Nahi Hai,
Jahan Ek Ek Lamha Tezi Se Guzar Raha Hai,
Jahan Qadam Qadam Par Ek Naya Dukh Milta Hai,
Jahan Har Waqt Ek Naye Kaam Ka Muntazar Hai,
Jahan Subah Se Shaam Aur Shaam Se Raat Tak Ka Safar,
Palak Jhapakte Hi Guzar Jata Hai,
Jahan Dhoop Hi Dhoop Hai,
Aur Koi Saaya Daar Sajar Nahi,
Jahan Qadmon Mein Thakan Hi Thakan Hai,
Jahan Saath Chalta Hua Har Shakhs Ajnabi Hai,
Jahan Sab Log Manzil Ki Talab Mein,
Aage Badh Rahe Hai,
Jahan Koi Gam Baantne Wala Nahi,
Jahan Sirf Sehra Hi Sehra Hai,
Aur Baarish Ki Ummid Nahi Hai,
Aisi Zindagi Ke Is Safar Mein,
Sirf Ek Aarzu Ek Tamanna Hai,
Ke Is Socho Bhari,
Gamon Bhari,
Daudti Hui Masroof Zindagi Mein,
Kaash Mujhe Mil Jaye,
"Ek Lamha Mil Jaye Sukoon Ka"
Ek Lamha Sukoon Ka...

No comments:

Popular Posts