Saturday, July 3, 2010

Ghum Mila Toh Ro Na Sakhe



Ghum Mila Toh Ro Na Sakhe,
khushi Mili To Hans Na Sakhe,
Yeh kaisa Raaz Hey Zindegi Ka,
Ham Samaj Na Sakhe,
Jis Ko Chaha, Apna Na Bana Sakhe...

Aap Chale Gayen,
Phir Bhi Dilse Nikhaal Na Sakhe,
Par Jab Aap The,
Pass Bhi Na Aa Sakhe,
Ab Aapki Yaadon ko
Seene Se Lagaake Phirthey Hai,
Saamne Aap ko Paa kar Bhi
Gale Na Lagaa Sakhey,
Yeh kaisa Raaz Hai Zindagi ka,
Ham na Samaj Sakhe,
Jis Ko Chaha Aapna Na Bana Sakhe...

Ab Palko Ko Band Karke ,
Pal Mein Apke Pass Hothe Hai,
Magar Jab Ankhon ke Samne Tha,
Jee Bher Ke Dekh Bi Na Sakhe,
Dil Dard Se Bharaa Huaa Tha
Lekin Ro Na Sakhe,
Yeh kaise Raaz Zindegi ka,
Ham Na Samaj Sakhe,
Na Chup Rah Sakhe Na Pyar Jataa Sakhe...

Ab Aap Ke Saath Ke Liye
Har Pal Tarapte Hai,
Magar Jab Hum Tarap Rahe the,
To Saath Na Desakhe,
Dil Tho Rotaa Rahe Per
Ankhon Se Ansoo Na Bahein!!
Pyaar Ke is Riwaj Ko Na Samaj Sakhey...

Dil Itni Chot Khaker Bi
Aap Hee ko Chhahta Kyu Hai,
Hum Samaj Na Sakhe,
Aap ke Laakh Inkaaron Ke Baad Bhi....
Aap Hamare Nahii Hao!!
Ye, Dil ko Samjha Na Sakhe,
Laakh Chaaha Humne..
Phir Bhi Aapko Bhula Na Sakhey...

Aap Humein Bhool Gaye,
Magar Hum Na Bhoola Sakhe..
Jaise Khuwaab Zindagi,
Aur Zindagi khuwaab Na Ho Sakhey
Waise Aap Hamare Na Ho Sakthey
Aur.....
Hum kisee Aur ke Na Ho Sakhhe... !!

No comments:

Popular Posts