Tuesday, July 13, 2010

gaye guzray huwon ko kuch sahara kiyun nahi deta


gae guzray huwon ko kuch sahara kiyun nahi deta
woh qadir hai to raaton ko sitara kiyun nahi deta

koi rasta to ho aankhon ko dukh mein paar lagnay ka
samandar dai diya hai to kinara kiyun nahi deta

woh kiyun kar aise waise meray pallu baandh deta hai
jisay mein chahta hun woh pyara kiyun nahi deta

woh mujh ko bandh kay betha hai kiyun apni muhabbat mein
woh mera dil woh meri jaan khudara kiyun nahi deta

sar-e-takmeel-e-ghum bhi ek shikwa hai mera us say
woh adha cheenta kiyun hai woh sara kiyun nahi deta

No comments:

Popular Posts