Tuesday, July 13, 2010

Dushman mere khusiyOn ka zamana hi nahi tha


Dushman mere khusiyOn ka zamana hi nahi tha
Tum ne bhi kabhi apna to jana hi nahi tha

Kia karta akaila main saja kar kOi mEhfil
Jab shehar main kisi ne nibahna hi nahi tha

Dil ne to bOhat chaha magar kis tarah jeetay
JeenaY k liye kOi bahana hi nahi tha

Mur mur k dekhta raha maiN Umar bhar magar
Tum aaye nahi tum ko to aana hi nahi tha

Aik rasta bacha tha wO bhi lotne ka tha
Jata main kahaN kOi thikana hi nahi tha

Ab jhuk k mere lash ko jhinjhOr rahe ho
Jaise tumhare "SHAYAR" ko jana hi nahi tha

No comments:

Popular Posts