Monday, July 26, 2010

Dua nahin to gila deta koi meri wafaon ka sila deta koi


Dua nahin to gila deta koi
meri wafaon ka sila deta koi

jub muqaddar hi nahin tha apna
deta bhi to bhala kya deta koi.


haasil-e-ishq faqat dard hai
aye kaash pehle hi bata deta koi.

taqdeer nahin thi gar aasmaan choona
khaaq mein hi mila deta koi

bewafa bhi humein bewafa keh gaya
is se ziyada kya daga deta koi.

gumaan hi ho jata kisi apne ka
daaman hi pakar kar hila deta koi.

arse se atka hai hinchkiyon pe dam
acha hota jo bhula deta koi.

ye to ro ro ke khata gaya khan
kya hota agarchay hansa deta koi

No comments:

Popular Posts