Monday, July 12, 2010

Meri mohabbat ki bas itni si kahani hai



Meri mohabbat ki bas itni si kahani hai
Dard main doobi hui yeh zindagani hai

Rista hai zakhm ban ke aankh ka aansu
Rooh par jafaaon ki gehri nishaani hai

Saansen hain lekin dhadkanen nahin hain
Lahu thama sa hai, na koi ravaani hai

Kho diya jisne umar bhar ka sukoon
Muskurati hai phir bhi, ladki deewani hai !!

No comments:

Popular Posts