Sunday, July 4, 2010

Dekhna hai woh mujh per meherbaan kitna hai


Dekhna hai woh mujh per meherbaan kitna hai
Asliyat kahan tak hai aur gumaan kitna hai

Kya Panaah deiti hai aur yeh zameen mujhko
Aur abhi mere sar pe asmaan kitna hai

Kush khabar nahi ati kiss ravish pe hai tufaan
Aur kata phata baaqi baadabaan kitna hai

Tor phor karti hain roz khwahishein dil main
Tung in makano'on sey yeh makaan kitna hai

Kya uthaye phirtaa hai baar-e-aashiqi sar per
Aur dekhne mein woh dhaan-paan kitna hai

Hurf-e-arzoo sun kar janchney laga yaani
Iss main baat kitni hai aur beyaan kitna hai

Phir udhass kar deigi sarsari jhalak uski
Bhool kar yeh dil usko shaadmaan kitna hai

No comments:

Popular Posts