Sunday, July 11, 2010

chala aata hai ek mast-e-shabaab aahista-aahista


chala aata hai ek mast-e-shabaab aahista-aahista
duaaeiN ho rahii haiN mustejaab aahista-aahista

haya kushta hooN maiN uThe naqaab aahista-aahista
sukooN se ham_baghal ho izteraab aahista-aahista

sharaab-e-naab de lekin zara ruk-ruk ke jhuk-jhuk ke
nigaah-e-mast kar mast-o-Kharaab aahista-aahista

khud apne husn ka parda hai noor-e-sarmadi teraa
bane jis tarah mehar apnii naqaab aahista-aahista

tasallii ki ye baateiN haiN, ke taRhpane ki baateiN haiN
khaamoshi, phir tabassum, phir Khitaab aahista-aahista

be_hamdillah shoKhii se hua sheer-o-shakar aaKhir
ghula mauj-e-tabassum meN hijaab aahista-aahista

mujhe kyaa niiNd aaegii ke ham-dam maiN ne dekhii haiN
woh aaNkheiN baNd hote, waqt-e-Khwaab aahista-aahista

shabaab-e-husn kii garmii meN hai raNg-e-hayaa shaamil
gul-e-aariz se khiNchtaa hai gulaab aahista-aahista

mohabbat raah kartii hai yooNhii mahboob ke dil meN
ke jaise nashaa kartii hai sharaab aahista-aahista

khulii jo aaNkh, ufaq par ek sitara jhilmilaata thaa
maiN samjha tha ke jaaega shabaab aahista-aahista

''Asar'' is tarah meN misra ''Walii'' ka to suna hogaa
"khitaab aahista-aahista jawaab aahista-aahista"

No comments:

Popular Posts