Thursday, July 15, 2010

Bay karaan tanhaioon ka silsila rah jaye ga


Bay karaan tanhaioon ka silsila rah jaye ga
Teray meray darmiyaan bas aik khala rah jaye ga

Aks bah jayen gain saray dhoop k sailaab main
Aur koi panioon main jhankta rah jaye ga

Mujh ko meray humsafar aisa safar darpaish hai
Rasta kut bhi gaya tou fasla rah jaye ga

Loog soo jayen gain khamoshi ki chadar orah kar
Chand soonay aanganoon main jhankta rah jaye ga

Jo kabhi usnay parhi thi mujh say Nasir mang kar
Naam mera un kitabaoon main likha rah jaye ga

No comments:

Popular Posts