Tuesday, July 20, 2010

Aisi Hi Sard Shaam Thi Wo Bhi


Aisi Hi Sard Shaam Thi Wo Bhi,
Jab Wo Mehendi Rachaye Haathon Mein,
Apni Aahat Ke Khauf Se Larazaan
Surkh Aanchal Mein Muh Chhipaye Hue,
Apne Khat Mujhse Lene Aayi Thi,
Uski Sehmi Hui Nigahon Mein,
Kitni Khamosh Iltijayein Thi,
Uske Chehre Ki Zard Rangat Mein,
Kitni Majbooriyon Ke Saaye The,
Mere Haathon Se Khat Pakadte Hi,
Jaane Kya Soch Kar Achanak Wo
Mera Shaana Pakad Kar Royi Thi
Uske Yaaqut Rang Hothon Ke
Kapkapate Hue Kinaron Par,
Saikdon Ankahe Fasane The,
Sard Shaamon Mein Der Tak Aksar
Jab Ye Manzar Dikhayi Deta Hai,
Ek Lamha Heenayi Hathon Se,
Mujhko Apni Taraf Bulaata Hai,
Hamnashin Ruth Kar Na Jaa Mujhse,
Aisi Hi Sard Shaam Thi Wo Bhi...

No comments:

Popular Posts