Tuesday, July 13, 2010

Ae Khamosh raat aye odass chand


Ae Khamosh raat....
aye odass chand
din guzar gaya, ye raat phir lout aayee
naa tumne aana tha na tum aaye
dil ko phir se samjha diya hai..ae khamosh raat
kahin diya jala diya hai...ae khamosh raat

aarzoo thee bahut tere aane ki
par kayee mousam guzar gaye aur tum na aaye
ab dil ko behla diya hai.. ae khamosh raat
ise jina sikha diya hai ..ae khamosh raat

kis baat ki saza de gaye..hamne to wafa ki thi
phir bhi koi shikwa nahin gila nahin tumse..
ab dil pe pehra laga diya hai..ae khamosh raat
kahin diya jala diya hai...ae khamosh raat

No comments:

Popular Posts