Monday, July 26, 2010

Aaj Ek Naam Aur Aaj Ke Ghum Ke Naam


Aaj Ek Naam Aur Aaj Ke Ghum Ke Naam
Aaj Ka Gam Ki Hai Zindagi Ke Bhare Gulistan Se Khafa,
Zard Patton Ka Ban,
Zard Patton Ka Ban Jo Mera Des Hai,
Kilarkon Ki Afsurda Jaano Ke Naam,
Kirm Khurda Dilon Aur Zabano Ke Naam,
Post-Maino Ke Naam,
Tangewalon Ke Naam,
Rel-Baano Ke Naam,
Kaarkhano Ke Bhole Jiyalon Ke Naam,
Baadashah-E-Jahan, Waali-E-Maasiva, Nae-Bullah-E-Fil-Arz, Dahakaan Ke Naam,

Jiske Dhoron Ko Zaalim Hanka Le Gaye,
Jiski Beti Ko Daku Utha Le Gaye,
Haath Bhar Khet Se Ek Angusht Patwar Ne Kaat Li Hai,
Dusri Maaliye Ke Bahaen Se Sarkar Ne Kaat Li Hai,
Jiske Pag Zor Walon Ke Paanvo Tale,
Dhajiyan Ho Gayi Hai,

Un Dukhi Maaon Ke Naam,
Raat Mein Jinke Bachhe Bilakhte Hai Aur,
Neend Ki Maar Khaye Hue Baazuon Se Sambhalte Nahi,
Dukh Batate Nahi,
Minnaton Zaariyon Se Bahelte Nahi,

Un Haseenao Ke Naam,
Jinki Aankhon Ke Gul,
Chilmano Aur Daricho Ki Belon Par Bekaar Khil Khil Ke,
Murjha Gaye Hai,
Un Byaahataon Ke Naam,
Jinke Badan
Be-Mohabbat Riyaakar Sajon Pe Saj Saj Ke Ukta Gaye Hai,
Bewaon Ke Naam,
Katadiyon Aur Galiyon, Mohallon Ke Naam,
Jinki Napak Khashaak Se Chaand Raaton,
Ko Aa Aa Ke Karta Hai Aksar Wazoo,
Jinke Saayo Mein Karti Hai Aaho-Buka,
Aanchalon Ki Heena,
Chudiyon Ki Khanak,
Kaakulon Ki Mehek,
Aarzumand Seeno Ki Apne Paseene Mein Jalne Ki Boo,
Padhnewalon Ke Naam,
Wo Jo Asahab-E-Tablo-Alam,
Ke Daron Par Kitaab Aur Kalaam,
Ka Taqaza Liye, Haath Phailaye,
Pahuche, Magar Luat Kar Ghar Na Aaye,
Wo Masoom Jo Bholepan Mein Hai,
Wahan Apne Nanhe Chiragon Mein Lahu Ki Lagan,
Le Ke Pahuche Jahan,
Baant Rahe The Ghatatop, Be-Ant Raaton Ke Saye,
Un Aseeron Ke Naam,
Jinke Seeno Mein Farda Ke Shabataab Gauhar,
Jelkhano Ki Shorida Raaton Ki Sar-Sar Mein,
Jal Jal Ke Anjunnuma Ho Gaye Hai,

Aanewale Dino Ke Safeeron Ke Naam,
Wo Jo Khushbu-E-Gul Ki Tarah,
Apne Paigam Par Khud Fida Ho Gaye Hai...

No comments:

Popular Posts