Thursday, July 15, 2010

Aa ki vaabasta hain us husn ki yaaden tujhse


Aa ki vaabasta hain us husn ki yaaden tujhse
Jisne is dil ko pari-khana bana rakhha thaa
Jiski ulfat main bhula rakhhi thee duniya hamne
Daher ko daher ka afsaana bana rakhha thaa.

Aashna hain tere kadmon se woh rahen jin par
Uski madhosh jawaani ne inayat ki hai
Kaarwaan guzre hain jin se usi raanaai ke
Jiski in aakhon ne besood ibadat ki hai.

Tujhse kheli hain wo mehboob hawaen jinmen
Uske malboos ki afsurda mahak baaki hai
tujhpe bhee barsaa hai us baam se mehtaab ka noor
jisme beeti huee raaton ki kasak baaki hai.

Toone dekhi hai wo peshani, wo rukhsaar, wo hoont
Zindagi jin ke tassavur main luta di humne
Tujhpe uthhi hain woh khoyee huee sahir aakhen
tujhko maluum hai, kyon umr gavan di humne.

Humpe mushtarka hain ehsaan gam-e-ulfat ke
itne ehsaan ki ginwaaon to ginwaa na sakoon
humne is ishq main kya khoya hai kya seekha hai
zuz tere aur ko samjhaoon toh samjhaa na sakoon

Ajeezi seekhi gareebon ki himaayat seekhi
yaas-o-hirmaan ke, dukh-dard ke maane seekhe
zerdaston ke musaaeib ko samajhana seekha
sard aahon ke, rukh-e-zard ke maane seekhe

Jab kahin baith ke rote hain wo bekas jinke
ashq aakhon main bilkhate hue so jaate hain
Naatuwaano ke niwaalon pe jhapat-te hain ukaab
baazu tole hue mandlate nazar aate hain

Jab kabhi bikta hai bazaar main mazdoor ka gosht
ShahRahoon pe gareebon ka lahoo behta hai
ya koi toond ka behta huaa sailaab liye
faaka-maston ko dubone ke liye kehta hai
Aag ki seene main reh-reh ke ubalti hai na pooch
apne dil pe mujhe kaabo hi nahin rehta hai

No comments:

Popular Posts