Friday, June 25, 2010

zindagi ke kisi mor per jab kabhi tanha hona


zindagi ke kisi mor per jab kabhi tanha hona
dil se pukar lena or hamein sath pana

kabhi bojhal kadmon se meri dehliz pe ana
nazrein utha lena or hamein sath pana

sach kehte the log koi rehta nahi sath ta umar magar
jab bhi ankhein band kerna hamein sath pana

hum tumhare muntazir rahein ge umar bhar
ana hamare sheher mein to hamein sath pana

hum tumhare the tumhare hein tumhare rahein ge
bus eik sada dena or humein sath pana

tumhari her khushi mein meri khushi hai pinhan
jab bhi muskurana hamein sath pana

No comments:

Popular Posts