Monday, June 7, 2010

Wo saari baatein khaab huien

Wo saari baatein khaab huien 
Aur khaab se phir azaab huien 
Jub tum ko saba ke jhonkay se 
Paigham hamara milta tha 
Jub meri aik nazer se hee 
Chehra ye tumhara khilta tha 
Kuch yaad sa tum ko hai janan 
Jub phone ki aadat roz ki thi 
Kuch daer jo mujh ko ho jati 
Tum ghanton rootha kertay thay 
Kabhi geeton ki kabhi sheron ki 
Tum khawahish mujh se kertay thay 
Kabhi pyar tha meri baton se 
Meray chehre se meri aankhon se 
Aur jhank ke meri aankhon mey 
Tum khud ko dhonda kertay tha 
Ak doo din dekh na pao tow 
Tum bekul bekul rehtay thay 
Aur ab tow aisa aalam hai 
Koi chahat hai na ulfat hai 
Kya pyar mohabbat aur wafa 
Is zikr se tum ko vehshat hai 
Mein laakh tussalli khud ko doun 
Keh ab bhi teri khawahish hon 
Anjaan bazahir lagtay ho 
Mein ab bhi tera mehvar hon 
Per dhoka aakhir dhoka hai 
Kab tuk dil ko behlaye ga 
Doo pal ki khushiyan de ker ye 
Mujhe sadiyan lahu rulaye ga 
Kion tum taqdeer se larti ho 
Kion khud ko dhoka deity ho 
Khabon ke tukre chun ke ab 
Kion khud ko ghayal kerti ho 
Ye baat tumhein maloom tow hai 
Kab beiti yadein lauti hai 
Jo baatein khawab si ho jayein 
Wo baatein khawab hee rehti hain

No comments:

Popular Posts