Friday, June 11, 2010

wo apne ishq mein kesa kamaal rakhta hai


wo apne ishq mein kesa kamaal rakhta hai
ke berukhi mein b, mera khiyaal rakhta hai
-
jo aj mera nahin hai woh kal tu mera ho ga
ke her zamana urooj-o-zawaal rakhta hai
-
ajab nahi wo jahan bhar ko bewafa samjhe
nazar mein meri wafa ki misaal rakhta hai
-
kahan talak koi dast-e-karam ko zehmat de
tamaam shehar he dast-e-sawaal rakhta hai
-
mera urhaan ke aage hai kis qadar be bas
yeh aasman jo sitaron ka jaal rakhta hai
-
tera khiyal he kuch mehrabaan hai warna
jahan mein kon kisi ka khiyaal rakhta hai

No comments:

Popular Posts