Wednesday, June 9, 2010

Tum ko aata hi nahin shikwa shikayat karna

Tum ko aata hi nahin shikwa shikayat karna
Meri mano tum kisi say na mohabat karna

Abh kay bikhra to mushkil say samaito gai mujhay
Phir na aisi mujh say shararat karna

Zulm sahnay say haalat nahin badlain gai kabhi
Abh zarori hai ameer-e-shehr say baghawat karna

Zuban jo kholi to uljhain gai zamanay walay
Chup rehna izhaar kin a himmat karna

Tum nay daikha meri ghar ki udasi ko Faraz
Ho sakay to kisi sham zara zehmat karna

No comments:

Popular Posts