Wednesday, June 23, 2010

teri zud se nikalna chahta hoon ye darya rukh badalna chahta hai


teri zud se nikalna chahta hoon
ye darya rukh badalna chahta hai

wo sapna jis ki soorat hi nhin hai
meri ankhoon mein chulna chahta hai

diloon ki mandagi pe kya ta'ajub
ki sooraj be toh dhalna chahta hai

nashist_e_dard badli hai toh ab dil
zara pahaloo badalna chahta hai

mujhe be samna hai karbala ka
mera sar be uchalna chahta hai

nhin hai tarjumaan _e_gham ye ansoo
ye pani ab ubalna chahta hai

tabasum zer_e_lub kehta hai
koi jazba machalna chahta hai!!

No comments:

Popular Posts