Friday, June 4, 2010

Sitaara Apni Bhi Taabindagi Na Dekh Saka

Sitaara Apni Bhi Taabindagi Na Dekh Saka, 
Wo Dhund Thi Ki Ye Manzar Kio Na Dekh Saka, 

Talash Karate Hue Ungliya Jala Dalin, 
Wo Tiragi Thi Ke Main Shama Bhi Na Dekh Saka, 

Mila Tha Shaam Mujhe Ek Bujha Hua Suraj, 
Main Uske Baad Phir Roshni Na Dekh Saka, 

Jo Rabt Baaki The Sab Qataa Kar Liye Usne, 
Wo Meherbaan Meri Bechaargi Na Dekh Saka, 

Nigaah Wiase To Baam-E-Falak Ko Chhu Aayi, 
Main Jis Zameen Pe Khada Tha Wahin Na Dekh Saka, 

Wahi Hai Aaina Khaana Wahi Hain Tasveerein,
Main Umr Bhar Koi Surat Na Dekh Saka, 

Tamaam Shaher Mein Wo Deedavaar Hua Mashoor, 
Wo Apni Naak Se Aage Kabhi Na Dekh Saka...

No comments:

Popular Posts