Saturday, June 26, 2010

safar-e-manzil-e-shab yaad nahii.n


safar-e-manzil-e-shab yaad nahii.n
log ruKhsat huye kab yaad nahii.n


dil me.n har vaqt chubhan rahatii thii
thii mujhe kis kii talab yaad nahii.n

vo sitaaraa thii ke shabanam thii ke phuul
ik suurat thii ajab yaad nahii.n

aisaa ulajhaa huu.N Gam-e-duniyaa me.n
ek bhii Khvaab-e-tarab yaad nahii.n

bhuulate jaate hai.n maazii ke dayaar
yaad aaye.n bhii to sab yaad nahii.n


ye haqiiqat hai ke ahabaab ko ham
yaad hii kab the ke ab yaad nahii.n


yaad hai sair-e-charaaGaa.N "Nasir"
dii ke bujhane kaa sabab yaad nahii.n

No comments:

Popular Posts