Monday, June 21, 2010

Qissa-e-gham main tera naam likha hai

Qissa-e-gham main tera naam likha hai 
Ashk ki kataron say yeh kalam likha hai 

Uff humain chednay ki yeh ada to dekhayee 
Ghair ko khat main hamain salaam likha hai 

Ek nigah is taraf kah tishnagii bhujji nahi 
Phir qabool sab aap nay jo anjam likha hai 

Koi padh na lai meray gham kah afsanay ko 
Aap ki ankhoon main sab tamaam likha hai 

Kiya karain taauruf apna, tum say dostoo 
Humnay to takhalus apna ‘nakaam’ likha hai

No comments:

Popular Posts