Thursday, June 24, 2010

qareeb maut khari hai zara thehar jao


qareeb maut khari hai zara thehar jao
qazaa se ankh lari hai zara thehar jao

thaki thaki se fazaein bujhe bujhe se taarey
bari udaas gari hai zara thehar jao

nhin umeed ki hum ajj ki sehar dekhein
ye raat hum pe kari hai zara thehar jao

abi na jao ki taaroon ka dil darkta hai
tamam raat pari hai zar thehar jao

phir is ke bad kabi hum na tum ko rokein gey
laboon pe saans ari hai zara thehar jao

dum_e_firaaq mein ji bhar ke tum ko dekh loon
ye fesley ki gari hai zara thehar jao

No comments:

Popular Posts