Wednesday, June 16, 2010

Niyyat hi Agar Theek Zamane ki Nahi Hai

Niyyat hi Agar Theek Zamane ki Nahi Hai
Jaldi to Mujhe Bhi Kahin Jaane Ki Nahi Hai

Jin Khwabon Ki Taabir Per israr Hai Tum ko
Un Khwabon Ki Tabeer Batane Ki Nahi Hai

Jis Baat Ko Phirte Ho Chupaye Hue Dil Main 
Wo Baat Kisi Se Bhi Chupane Ki Nahi Hai

Is Bheer Main Saaye Se Bicharta Hua Saaya 
Kahta Hai Yahan Saath Nibhane Ki Nahi Hai

Jalte Hue Shahron Main izafa Hi to Hoga 
Jab Rasm Koi Aag Bujhane Ki Nahi Hai

Chehron Se Parho Jabr-e-Mah-o-Saal Ki Tareekh 
Ye DaastaN Duniya Ko Sunane Ki Nahi Hai

Sab Log Khazane Ki Taraf Dor Rahe Hain 
Chabhi to Kisi k Pass Khazane Ki Nahi Hai

Jo tere Liye WaQt Se Ladte Hain Abhi tak 
Un ko to Khabar Hi Tere Aane Ki Nahi Hai

Dukh ye Hai tu Sach Sunne Ka Aadi Nahi Warna 
Ye Umr Tujhe Khwab Dikhane Ki Nahi Hai

No comments:

Popular Posts