Friday, June 18, 2010

Mujh ko ikrar-e-mohabbat hain saza do mujh ko

Mujh ko ikrar-e-mohabbat hain saza do mujh ko 
Shola-e-ishq hoon kuch aor hawa do mujh ko 

Ban ke aansoo teri palkon pe para rehta hoon 
Tum akele mein kisi roz baha do mujh ko 

Mein nahin mangta tujh se tere daaman ki hawa 
Aakhir baar yeh soorat hi dikha do mujh ko 

To mujhe yaad kare aur pashemaan bhi na houn 
Aisi yaadon se to behter hain bhula do mujh ko

No comments:

Popular Posts