Wednesday, June 30, 2010

Main bhool jaaon tumhey, ab yehi munaasib hai


Main bhool jaaon tumhey, ab yehi munaasib hai
Magar bhulanaa bhi chahoon tou kis tarah bhuloon
Ke tum to phir bhi haqeeqat ho koi Khawaab nahin...
Yahaan to dil kaa ye aalam hai kyaa kahoon
Kamabakht
Bhulaa sakaa na ye woh silsila jo thaa hi nahin..
Woh ik Khayaal
Jo aavaaz tak gayaa hii nahin..
Woh ek baat
Jo main keh nahin sakaa tum se..
Woh aik rabt
Jo hum mein kabhi rahaa hi nahin..
Mujhe hai yaad woh sab
Jo kabhi hua hi nahin..
Agar yeh haal hai dil kaa to koi samajha'ey
Tumhein bhulaana bhi chaahoon to kis tarah bhuloon
Ke tum to phir bhi haqeeqat ho koi Khawaab nahin

No comments:

Popular Posts