Friday, June 4, 2010

Laut Aati Hai Meri Shab Ki Ibadat Khali

Laut Aati Hai Meri Shab Ki Ibadat Khali,
Jaane Kis Arsh Pe Rehta Hai Khuda Shaam Ke Baad, 

Itna To Hota Nahi Khandir Shaam Ke Baad, 
Jitna Veeran Hua Jaata Hai Ghar Shaam Ke Baad, 

Toot Padti Ahi Nayi Roz Khabar Shaam Ke Baad,
Waqt Hota Hai Azabon Mein Basar Shaam Ke Baad, 

Meri Aankhon Se Baraste Hue Daryaon Mein,
Doob Jaati Hai Teri Reh-Guzar Shaam Ke Baad, 

Gher Lete Hai Mujhe Raaste Teri Yaadon Ke, 
Jab Bhi Karta Hoon Tere Baad Safar Shaam Ke Baad, 

Din Bhi Veeran Hi Guzarta Hai Hamara Lekin,
Aur Badh Jaata Hai Veerani Ka Dar Shaam Ke Baad, 

Hijar Ke Saaye To Har Roz Hi Aa Jaate Hai, 
Kya Kabhi Hoga Tumhara Bhi Guzar Shaam Ke Baad, 

Aankh Ban Jaati Hai Sawan Ki Ghata Shaam Ke Baad, 
Laut Jaata Hai Agar Koi Khafa Shaam Ke Baad, 

Wo Jo Tal Jati Rahi Sar Se Bala Shaam Ke Baad, 
Koi To Tha Ke Jo Deta Tha Dua Shaam Ke Baad, 

Shaam Tak Qaid Raha Karte Hai Dil Ke Andar, 
Dard Ho Jaate Hai Saare Riha Shaam Ke Baad, 

Khwab Takra Ke Palat Jaate Hai Band Aankhonse, 
Jaane Kis Jurm Ki Kisko Hai Saza Shaam Ke Baad, 

Maar Deta Hai Ujad Jane Ka Daheera Ehsaas, 
Kaash Ho Koi Kisise Na Juda Shaam Ke Baad, 

Laut Aaye Kisi Roz Wo Awara Mijaz,
Khol Rakhte Hai Isi Aas Par Dar Shaam Ke Baad...

No comments:

Popular Posts