Sunday, June 6, 2010

Koi mousam to aisa ho

Koi mousam to aisa ho 
Kay jab bichray huo'n ki yaad kay jugnu 
Chamak kho dei'n 
Kisi kay hijr main ronay say pehlay hi 
Meri aankhain kabhi so dei'n 
Koi mousam to aisa ho 
Kay jab sab phool ulfat kay 
Kisi anmit mohabbat kay 
Merey dil main khilain par 
Un main woh khushbu na ho baaqi 
Woh khushbu jo tumharay qurb say mehsoos hoti thi 
Koi mousam to aisa ho 
Kay dil kay zakhm bhar jaein 
Agar aisa nahi hota to phir 
Kitna hi acha ho 
Kay saari khuahishei'n dil ki 
Woh sarey khuab aur arma'n 
Yun'hi ghut ghut kay mar jaein 
Mujhay aazaad kar jaein 
Koi mousam to aisa ho 
Kay jo mousam tumhari yaad ka mousam na ho...

No comments:

Popular Posts