Friday, June 18, 2010

koi hai hamaray sa shehr mein

koi hai hamaray sa shehr mein 
jo utha ke khwab ki kirchian 
yunhi darbadar sa phira kare 
na dua kare na dawa kare 
na kabhi to uss ka pata kare 
jo qarar thaa dil-e-zar ka 
jo nazar nazar ki talab mein thaa 
faqat aik khwab jo shab mein thaa 
jise dhoondna thaa hujuum mein 
jo nahin thaa apne nujuum mein 
kisi aasman ka chand thaa 
jo thaa dastaras se kahin paray 
ussi aik shakhs ke waaste 
yunhi shehr shehr phira kare 
har ik ajnabi ko taka karay 
na dua kare na dawa kare 
jo utha ke khwab ki kirchian 
yunhi darbadar sa phira kare 
koi hai hamaray sa shehr mein....

No comments:

Popular Posts