Wednesday, June 23, 2010

khuli jo ankh toh wo tha na wo zamana tha


khuli jo ankh toh wo tha na wo zamana tha
dehakti aag thi tanhai thi fasana tha

ghamoon ne baant liya mujhe yoon apas mein
ke jesey mein koi loota houa khazana tha

ye kya chund hi qadmoon par hi tha ke baith gaye
tumhein toh saath mera door tak nibhana tha

mujhe jo mere lahoo mein dubo ke guzra hai
wo koi ghair nhin yaar ek poorana tha

khud apney haath se us ko kaat diya
ke jiss darakht ke tehni pe ashiyaana tha

No comments:

Popular Posts