Monday, June 7, 2010

kabhi jo mujh ko talaash kerna

kabhi jo mujh ko talaash kerna 
tou chand raaton ki chandni main 
Gul-e-chaman say sawal kerna 
udaas kiun ho?? 
kiun oos-Qatron main apnay aanso 
chupaa rehay hoo 
haseen mousam main kis ki yadoon main 
apnay dil ko jala rehay hoo 
Gul-e-chaman yeh sawal sun ker 
tumhari aamad ka haal sun ker 
kehay ga tum jis ko khoojtay hoo 
woo in baharoon ki sari khushboo 
churaa kay abb ik nay chaman main 
Mehek raha hay 
udaas ker kay yahan pay hum ko 
kisi chaman main chehek raha hay 
Gul-e-chaman ka yeh haal sun ker 
tumhain lagay ga main baywafa hoon 
udaas kalioon ko choor ker main 
nai baharoon ko dhoondta hoon 
mager haqeeqat main is chaman kay 
tamaam phoolon ki khwahishon kaa 
aur in ki nakkam kavishoon ka 
haseen mousam ki barishoon ka 
naa meray dil per aser hoa tha 
naa meray dil per aser hoa hay 
main aaj bhi ik nay chaman main 
puranay qissay suna reha hoon 
joo mere chahat ka devtaa tha 
abhi bhi us ko hi poojta hoon 
yaqeen nahi tou palat kay dekho 
waheen khara tha,waheen khara hoon

No comments:

Popular Posts