Thursday, June 24, 2010

Jab jab bahar aaye aur phool muskaraye mujhe tum yaad aaye


Jab jab bahar aaye aur phool muskaraye mujhe tum yaad aaye,
jab jab bhi chand nikla aur tare jagmagaaye mujhe tum yaad aaye.

Apna koi tarana maine nahin banaaya, tumne mere labon pe har ek sur sajayaa
jab jab mere taraane duniyane gungunaaye mujhe tum yaad aaye.

Ek pyar aur wafa ki tasveer maanta hoon, tasveer kya tumhe main taqdeer manta hoon,
dekhi nazar ne khushiyaan, ya dekhe gum ke saaye ujhe tum yaad aaye

Mumkin hai zindagaani kar jaaye bewafaai lekin yeh pyar woh hai jismein nahin judaai,
is pyar ke fasaane jab jab zuban pe aaye mujhe tum yaad aaye

No comments:

Popular Posts