Friday, June 4, 2010

Isee khayal mein taron ko raat bhar dekhon

Isee khayal mein taron ko raat bhar dekhon 
Ki tujhey subah qayamat sey paishtar dekhon 

Is ek chiragh ki lau chubh rahi hai ankhon mein 
Taman sheher ho shanasa to apna ghar dekhon 

mujhey khud apni tabeyat pey aitemad nahi 
khuda karey key tujhey ab umer bhar na dekhon 

saday-e-gol bayaban na ho yeh awazah 
mera wajood hai pathar jo lut kar dekhon 

Nazar azaab hai pagon mein ho agar zanjeer 
faza key rang ko dekhun key bal-o-per dekhun 

juda sahi meri manzil bichar nahi sakta 
mein kis tarah tujhey auron ka hamsafar dekhon 

woh lab faraz agar kar sakein maseehai 
bakol-e-dard mein sau sau tarah sey mar dekhon

No comments:

Popular Posts