Monday, June 7, 2010

hamara kyaa hai keh hum tou charagh-e-shab ki tarah

hamara kyaa hai keh hum tou charagh-e-shab ki tarah
agar jalay bhii tou bus itni roshnii hogi
keh jaisay tund andhairon kii raah main jugnoo
zara sii dair ko chamkay chamak kay khoo jaye
phir uss kay baad kisi ko na kuch sujhayee day
na shab katay na suragh-e-sehar dikhayee day

hamara kyaa hai keh hum tou pas-e-ghubaar-e-safar
agar chalay bhi tou bas itnii raah tay hog
keh jaisay taiz hawaon kii zad main naqsh-e-qadam
zara sii dair k ubhray ubhar kay mit jaaye
phir uss kay baad na rastaa na rah-guzar milay
had-e-nigah talak dasht-e-bekinaar milay

hamarii simt na dekho keh koii dair main hum
qabeela-e-dil-o-jaan say bicharrnay waalay hain
basay basaaye howay shehar apnii ankhon kay
misal-e-khaanaa-e-veeraan ujarrrnay walay hain
hawa kaa shor yehii hai tou dekhtay rehnaa
hamarii umar kay khaimay ukharrnay walay hain

No comments:

Popular Posts