Wednesday, June 30, 2010

Ghum apni mohabbat main dono, nayab ho tum nayab hain hum


Ghum apni mohabbat main dono, nayab ho tum nayab hain hum
Kia hum ko khuli aankhain dekhain,ik khuwab ho tum ik khuwab hain hum

Kia mehsher-khaiz. judai hai ,kia visal, qayamat ka ho ga
Jazbaat ka aik sailab ho tum ,jazbaat ka aik sailab hain hum

Ik hans purani yaadon ka betha hua kankar chunta hai
Tapti hui hijar ki gharion main sookha hua talaab hain hum

Ik waqt talatum-khaiz hain hun,gardish main tumhay bhi le lain gain
Is waqt na tair aey kashti-ae-dil is waqt tau khud gardab hain hum

Aey chashm-e-falak aey chashme-zameen!hum log tau phir anay kay nahi
Do char ghari ka sapna hain, Do char ghari ka khuwab hain hum !!!!!

No comments:

Popular Posts