Sunday, June 27, 2010

Ghairo pe karam apno pe sitam


Ghairo pe karam apno pe sitam
eh jaan-e-wafa ye zulm na kar
Rehne de abhi thoda sa bharam
Eh jaan-e-wafa ye zulm na kar ye zulm na kar
Ghairo pe karam ...
Ham bhi the tere manzoor-e-nazar
dil chaaha to ab iqraar na kar
Sau teer chala seene pe magar
begaano se milkar vaar na kar
Be-maut kahi mar jaaye na ham
Eh jaan-e-wafa ye zulm na kar ye zulm na kar
Ghairo pe karam ...
Ham chaahne waale hain tere
yu hamko jalaana thheek nahi
Mehfil mein tamaasha ban jaaye
is darja sataana thheek nahi
Mar jaayenge ham, mit jaayenge ham
Eh jaan-e-wafa ye zulm na kar ye zulm na kar
Ghairo pe karam ...

No comments:

Popular Posts