Thursday, June 17, 2010

Cohta sa ik gaon tha jis main


Cohta sa ik gaon tha jis main
diye thy kam aur bohat undhera
bohat shajar thay thory ghar thay
jin ko tha doori nay ghera
itni bari tanhai thi jis main
jagta rehta tha dil mera
bohat qadeem faraq tha jis main
aik mukarar had say agay
soch na sakta tha dil mera
aisi soorat main phir dil ko dehan ata kis Khowab main tera
jag na sakta tha dil mera
raz jo had say bahar main tha
apna ap dekhata kaisy
sapnay ki bhi had thi akhir
sapna agay jata kesy 

No comments:

Popular Posts