Monday, June 21, 2010

Bina Jurm o Khata Khud Ko Koi Aisi Saza Dena


Bina Jurm o Khata Khud Ko Koi Aisi Saza Dena
Bahut Mushkil Hai Meri Jan Tumhein Bilkul Bhula Dena

Mere Maula! Agar Tu Ne Dobara Zindagi Bakhshi
To Bas Itni Guzarish Hai Mujhy Pathar Bana Dena

Main Zehni Tor Par Khud Ko Zara Tayyar Kar Loon Gi
Bichar Jany Se Kuch Pehlay Mujhay Humdum Bata Dena

Tumhari Yeh Shrarat Aj Tak Naqsh Hai Dharkan Par
Daby Paaon Chaly Ana,Mera Jhumka Hila Dena

Phir Is Ke Baad Jis Ke Pass Bhi Tum Jao,Ijazat Hai
Mujhy Ik Baar Apny Naam Ki Mehandi Laga Dena

Faqat Itna Kaha Tha Na,Mujhy Kuch Roshnee De Do
Tumhein Kis Ne Yeh Bola Tha,Meri Basti Jala Dena

Jisay Barish Ke Pani Mein Baha Kar Muskuraty Thy
Mujhy Kaghaz Ki Wo Kashti Zara Phir Se Bana Dena

Umar Bhar Phir Tumhara Rasta Takney Se Acha Hai
Ke Tum Jany Se Kuch Pehly Meri Ankhein Bhuja Dena

Tumhein Is Bar Khat Mein Faqat Yeh Bat Likhni Hai
Ke Sawan Laut Aya Hai,Mujhy Jhoola Jhula Dena!

1 comment:

Unknown said...

Salam this is haroon afghan
it's really an amazing peom of you
i really look amaze to see you strong think.good and may ALLAH give you more strength to wirte more poem like this.haroon afghan kabul afghanistan

Popular Posts