Sunday, June 13, 2010

Baat purani hai

Baat purani hai...
Shayed kahin baras pehlain ki
Sardi ki ik khunak shaam ka zikar hai
Tu ne mere hathon per hath rekha tha
Aur kaha tha...
"Garam hath BAWAFA logon ki nishani hotay hain"
Mujhe kafi arsa aik bat khatakti rahi
Kia???
Wo aaj mujhe maloom hoi
Aaj iss uljhan se nikal saka hon main
Jab tumne yeh kaha tha
Tab hath tumharay sard thay!!
BAWAFA kon???

2 comments:

राजीव थेपड़ा ( भूतनाथ ) said...

are waah....ek aur baat puraani hai.....maine to socha tha ki sirf main hi puraani baate batiyata hun....khair acchha likha hai aapne....aur khair apkaa blog-naam mere blog kaa hamnaam to hai hi .....shubkaamnaayen....!!!!

FAYSAL'S POETRY said...

janaab baatein to jo guzar jayein phir purani hoo jatein hain any way aap ke baqi comments mein aap ne hindi use ki us ki mujhe samaj nahi aayi us k liye SHAMAA ker dijye ga

Popular Posts