Wednesday, June 23, 2010

baad_baan khulne se pehle ka ishara dekhna


baad_baan khulne se pehle ka ishara dekhna
main samandar dekhati hon tum kinara dekhna

yon bicharna bhi bohat asan na tha us se magar
jate jate us kaa wo mur ke dubara dekhna

kis shabahat ko liye aaya hai darwaze pe chand
ai shab-e-hijran zara apna sitara dekhna

aine ki ankh hi kuch kam na thi mere liye
jane ab kiya kiya dikhaye ga tumhara dekhna

No comments:

Popular Posts