Friday, June 18, 2010

aik mudat ki thakaan hai

aik mudat ki thakaan hai
aur zindagi ke maathay per shikan hai  

nazar mein taweel sehra hai
aur paoon mein kantoon ki chubhan hai 

sochti hon to guman lagta hai
aur dil mein barabar lagi lagan hai 

neend,kaisay manaon,palkein moond na paon
yeh jo totay khuwabon ki chubhan hai 

elahi jo aankho mein thair gai hai woh soorat
mita doon ya jaga don yeh uljhan hai 

kyon ulajh rahi hoon lehroon se jab ke
jeewan piyaas hai aur piyaas jeewan hai....

No comments:

Popular Posts