Friday, June 25, 2010

abi kuch pal hamary haath main hain kon jany


abi kuch pal hamary haath main hain
kon jany
konsa lamha hamary haath sy phisly, giry
r paaon ki zangeer ho jaaye
abi ye din jo lagta hai k hum aik doosry k saath
reh sakty hain pal do pal
na-jany kab kahan dewaar ban jaain
abi do-chaar sansain bach rahi hain
ye to jhonka hain
kisy maa'loom kis aahistgi sy yoon guzer jaaye
k hum deryaaon k do mukhtalif na-ashna ghongy kinaroon per
kharey
aik doosry ki shakal takny ko taras jaain
meri awaaz teri yaad main zinda ho bus
r main teri tasveer ankhoon main liye, rona chupaaon
shehr waloon sy
abi kuch pal hamary haath main hain
hum jo chahaain gy to kuch kam kam b mil lain gy
mager jany kahan?
kab?
konsa lamha ?

No comments:

Popular Posts