Thursday, June 24, 2010

ab ke tajdiid-e-vafaa kaa nahii imkaan jaanaa


ab ke tajdiid-e-vafaa kaa nahii imkaan jaanaa
yaad kyaa tujh ko dilaayen teraa paimaan jaanaa

yunhii mausam kii adaa dekh ke yaad aayaa hai
kis qadar jald badal jaatey hain insaan jaanaa

dil ye kahataa hai ki shaayad ho fasurdaa tuu bhii
dil kii kyaa baat karen dil to hai naadaan jaanaa

avval-avval kii muhabbat ke nashe yaad to kar
bepiye bhii teraa cheharaa thaa gulistaan jaanaa

aaKhir aaKhir to ye aalam hai ke ab hosh nahiin
rag-e-miinaa sulag uThii ki rag-e-jaan jaanaa

muddaton se ye aalam na tavaqqo na ummiid
dil pukarey hii chalaa jaataa hai jaanaan jaanaa

ham bhii kyaa saadaa the ham ne bhii samajh rakhaa thaa
Gam-e-dauraan se judaa hai Gam-e-jaanaan jaanaa

ab kii kuchh aisii sajii mahafil-e-yaaraan jaanaa
sar-ba-zaanuu hai koii sar-ba-girebaan jaanaa

har ko_ii apanii hii aavaaz se kaanp uThataa hai
har ko_ii apane hii saaye se hiraasaan jaanaa

jis ko dekho vahii zanjiir-ba-paa lagataa hai
shahar kaa shahar huaa daaKhil-e-zindaan jaanaa

ab teraa zikr bhii shaayad hii Gazal mein aaye
aur se aur huaa dard kaa unvaan jaanaa

ham ki ruuThii huii rut ko bhii manaa letey they
ham ne dekhaa hii na thaa mausam-e-hijraan jaanaa

hosh aayaa to sabhii Khvaab the rezaa-rezaa
jaise urratey huye auraaq-e-pareshaan jaanaa

No comments:

Popular Posts