Saturday, June 12, 2010

Aankhein benoor dil weeran kar gaya


Aankhein benoor dil weeran kar gaya 
ek shaqsh mujh ko tanha kar gaya

khushyian ly gaya hai woh sari faqat
meray naam ghamon ka jahan kar gaya


chaltay chaltay aachanak mujh se
juda aeisay hua mujhe heraan kar gaya


soochtii hoon es tanha mausam mein 
char soo yeh keisa sama kar gaya 

koi kisi ka hota hai nahi yahan 
jatay jatay yeahi farmaan kar gaya


khatam hona jis ka mumkin nahi aeisa
hijr ka taweel fasila kar gaya

bechanee ka betabi ka dil mein 
ek toofan sa barpa kar gaya 

bichra tuo mujh ko ehsaas hua 
mujh ko mujh se juda kar gaya 

chalna jis pay kabhi asaan tha apna
aaj wohi khathan rasta kar gaya

apni bhi kuch mana gaya aakhir woh
meri bhi kuch baat maan kar gaya 

meray koocha e weeran se jatay jatay 
har rasam e wafa nibha kar gaya

surat aaniay mein deikhoon to sochoon khud
mein kia thi woh mujh ko kia kar gaya

No comments:

Popular Posts