Friday, June 25, 2010

Aa apni zindagi ki har sham teray naam kar doun



Aa apni zindagi ki har sham teray naam kar doun
teri hi ankhon ka jam teray naam kar doun

main doob jaoun teri in jheel si gehri ankhon mein
phir apni barbadi ka ilzam teray naam kar doun

mein apni Rouh ko teray Wajood mai bhar doun
phir apni zaat apna har payam teray naam kar doun

tu mujhay mohabbat ka aghaz day sanam
mein apnay pyaar ka anjam tere naam kar doun

mohabbato key qaseeday likhoun teri sana mein
hazaron pyaar kay paighaam tere naam kar doun

hou jis ka zikar mohabbat ki har kahani mein
eik aisa pyaar ka paigham tere naam kar doun

No comments:

Popular Posts