Wednesday, May 26, 2010

Zindagi Se Darte Ho


Zindagi Se Darte Ho, 
Zindagi To TuM Bhi Ho, Zindagi To HuM Bhi Hia, 
AadMi Se Darte Ho, 
AadMi To TuM Bhi Ho AadMi To HuM Bhi Hia, 
AadMi Zuban Bhi Hia, AadMi Bayan Bhi Hai, 
Isse TuM Nahi Darte, 
Harf Aur Maani Ke Rishte Hai Inse AadMi Hai Wabasta
AadMi Ke DaaMan Se Zindagi Hai Wabasta, 
Isse TuM Nahi Darte
Ankahi Se Darte Ho, 
Jo Abhi Aayi Nahi Us Ghadi Se Darte Ho, 
Us Ghadi Ke Aane Ki Aaag Hi Se Darte Hai, 
Pehle Bhi To Guzre Hai, 
Daur Narasayi Ke, Beriya, Khudayi Ke, 
Phir Bhi Ye SaMajhte Ho, Hech AazaruMandi,
Ye Shab Zubaanbandi, Hai Rahe Khudabandi, 
TuM Yehi SaMajhte Ho, TuM Magar Ye Kya Jaano, 
Lab Agar Nahi Hilate Haath Jaag Uthte Hai, 
Haath Jaag Uthte Hia Raah Ka Insaan Bankar, 
Noor Ki Zubaan Bankar, 
Haath Bol Uthte Hai Subah Ki Azaan Bankar,
Roshnise Darte Ho, 
Roshni To TuM Bhi Ho, Roshni To HuM Bhi Hia, 
Roshni Se Darte Ho, 
Sheher Ki Faislon Par, 
Dev Ka Jo Saaya Tha, Paak Ho Gaya Aakhir, 
AzdahaaM-E-Afsaan Se Fard Ki Nawa Ayi
Zaat Ki Sada Aayi, 
Ek Naya Junoon Lapke, 
AadMi Chhalak Uthe, 
AadMi Hanse Dekho, Sheher Phir Base Dekho, 
TuM Abhi Se Darte Ho, 
Haan Abhi To TuM Bhi Ho, Haan Abhi To HuM Bhi Hai, 
TuM Abhi Se Darte Ho...

No comments:

Popular Posts