Wednesday, May 5, 2010

zindagi ke melay mein khawaishon ke railay mein

zindagi ke melay mein
khawaishon ke railay mein
tum se kiya kahen jana
iss qadar jhamele mein
waqt ki rawani hai
bakht ki girani hai
sakht bay zameeni hai
sakht la makani hai
hijr k samandar mein
takht or takhte ki
ik ki kahani hai
tum ko jo sunani hai
baat go zara si hai
baat umar bhar ki hai
umar bhar ki baatein kab
do ghari mein hoti hain
dard k samandar main
an ginat jazeere hain
be shumar moti hain
aankh k dariche mein
tum ne jo sajaya tha
baat uss diye ki hai
baat uss gile ki hai
jo laho ki khilwat mein chor ban k aata hai
lafz ki faseelon par toot toot jata hai
zindagi se lambi hai
baat rat-jagay ki hai
raste mein kaise ho
baat takhliyeh ki hai
guftogo izaafi hai
pyar karne walon ko
aik nigah kaafi hai
ho sake to sun jao
ek din akele mein
Tum se kia kahen jana
Iss qadar jhamele mein

No comments:

Popular Posts