Tuesday, May 4, 2010

zindagi k melay main khawahishon k railay main

zindagi k melay main
khawahishon k railay main
tum se kya kahain janaan
iss qaddar jhamailay main
waqt ki rawani hai, bakht ki garani hai
sakhat bay-zameeni hai, sakht la-makani hai
hijar k samandar main
takht aur takhtay ki aik he kahani hai
tum ko jo sunani hai
baat go zara si hai
baat umar bhai ki hai, umar bhar ki baatain kab do ghari main hoti hain
dard k samandar main
an-ginnat jazeeray hain, be-shumaar moti hain
aankh k dareechay main tum nay jo sajaya tha
baat uss diye ki hai
baat uss gilay ki hai
jo lahoo ki khalwat main chor ban k ata hai
lafz ki faseelon pe toot toot jata hai
zindagi se lambi hai
baat ratt-jagay ki hai
raastay main kaise ho?
baat takhliyaye ki hai!
takhliyaye ki baaton main guftugoo azafi hai
pyar karnay walon ki ikk nigah kaafi hai
ho sakay to sunn jao aik din akelay main
......tum se kya kahain janaan iss qaddar jhamailay main !!!

No comments:

Popular Posts