Thursday, May 6, 2010

yun chup rahna thik nahin koi mithi bat karo

yun chup rahna thik nahin koi mithi bat karo
mor chakor papiha koyal sab ko mat karo

sawan to man bagiya se bin barse bit gaya
ras mein dube nagme ki ab tum barsat karo

hijr ki ik lambi manzil ko janewala hun
apni yadon ke kuch saye mere sath karo

main kirnon ki kaliyan chunkar sej bana lunga
tum mukhre ka chand jalao raushan rat karo

pyar buri shay nahin hai lekin phir bhi yar "Qateel"
gali-gali taqsim na tum apne jazbat karo

No comments:

Popular Posts