Tuesday, May 4, 2010

yeh phool mughe koi wirasat se mile hain

yeh phool mughe koi wirasat se mile hain
tum ne mera kaanton bhara bistar nahi dekha

hamari zindage mein phool ban ker koi aaya tha
uss ki yaad mein abb tak tehreeren mahekti hain

kaghaz ke phool sar pe saja ker chali hayat
nikle jo gher se raah mein barish ne aa liya

kuch iss tarah se hum ne guzari hai zindage
kaanton pe jaise phool basera na ker saken

phoolon ki dori se chalak parthi hai tabassum
hasne ko tere peeche bhi so bar hansi hoon

uss phool ko pana to bari baat hai ali
uss phool ko choone mein bhi nakam rahe hum

uryan hain shajar abb ke baras dekhe ya ho
phir aae woh rut jis mein buhat phool jhure the

kuch phool jaise aae the abb baghban magar
kuch daag le chale hain tere gulistan se hum

No comments:

Popular Posts